Saturday 25 April 2015

Dil dhadakne do

Raat k nashe mein hum dubbe is qadar
Teri yaad ne kiya hume tanha besabar
Na abb jee bhar ke soya jaata
Na khana bhi abb khaya jaata
Haseen Chandani ko dekhkar jee muskurata
Ae dil tu hai khushnasib jo aseem taare
Yuh h bas abb teri aanchal mein samaye...
Waqt bhi thamm sa gaya jab tu muskuraya
Teri gustakhiyan dekhne ko jee lalchaya
Bewafa duniya se bhaag jane ko dil chahe
Zindagi ki laziz mulakaton se muh ferna reh gaya
Tu na milega hume kabhi
Dil na abb thamega kabhi..
Jis din tumse jee bharega humara

Uss din samjho ki is dil ne dhadakna band kar diya 

No comments:

Post a Comment